garm raftar hai teri ye pata dete hain

garm raftar hai teri ye pata dete hain
dam-ba-dam lau tere naqsh-e-kaf-e-pa dete hain

hijr se karte hain nashad hamein wasl se shad
khud maraz dete hain aur aap shifa dete hain

dil ki tum baat samajhte ho zaban go na hile
khub sunte ho jo chupke se sada dete hain

kam na samjhen meri aahon ke shararon ko huzur
aag abhi sare zamane mein laga dete hain

tum ne ehsan kiya hai ki namak chhidka hai
ab mujhe zakhm-e-jigar aur maza dete hain

un ki taqdir mein hai mere lahu mein bharna
khun ki bu tere daman-e-qaba dete hain

saf karte hain abhi ghair ye wo tegh-e-ada
dost aa ke mujhe paigham-e-qaza dete hain

jago ai mumlikat-e-ishq ke sone walo
shab ko darban-ए-dar-e-yar sada dete hain

jitne shair hain unhon ne hamein izzat di hai
hum 'rashid' un ko shab-o-roz dua dete hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close