garmiyan shokhiyan kis shan se hum dekhte hain kya hi nadaniyan nadan se hum dekhte hain ghair se bosa-zani aur hamein dushnamen munh liye apna pashiman se hum dekhte hain fasl-e-gul ab ki junun-khez nahin sad-afsos dur hath apna gareban se hum dekhte hain aaj kis shokh ki gulshan mein hina-bandi hai sarw raqsan hain gulistan se hum dekhte hain 'akhtar'-e-zar bhi ho mushaf-e-rukh par shaida fal ye nek hai quran se hum dekhte hain