gaya jawani ka sath sab kuchh wo garmi-e-ishq ab kahan hai jo main ne us waqt aah ki hai bujhi hui aag ka dhuan hai lage bujhata nahin wo dushman jalan ye hai phenk raha hai tan-man charagh sa dagh-e-dil hai raushan diya-salai hai ustukhwan hai tabiat apni hai kyun mukaddar nahin samajhta na samjhe dilbar karega dushman bhi rahm hum par agar khuda apna mehrban hai khule hain daghon ke phul tan par bahaar-e-taza hai ai gul-e-tar kabhi to meri taraf nazar kar chaman mein kya shakh-e-zafran hai kabhi hai manind-e-mauj-e-dariya kabhi hai misl-e-ghubar-e-sahra kahun main kya haal apne dil ka bichhad ke mujh se rawan-dawan hai talaf hue jis mein zindagani basar hue jis mein naujawani wo meri biti hui kahani suno agar shauq-e-dastan hai yahi hain mani-e-ishq-e-kaamil ki sau balaon se hun muqabil buland hai ab jo nala-e-dil sipah-e-andoh ka nishan hai khuda na dikhlae achchhi surat abhi to aa jati hai hararat padegi be-shak nigah-e-ulfat zaif go main hun dil jawan hai hazar afsos umr khoi na dekha din-dar hum ne koi hai waizon mein fasana-goi madrason mein chunin-chunan hai bara-e-zar muttaqi bane hain husul ke masale chhine hain murid jo hain wo but bane hain mata-e-islam raegan hai koi to 'sauda' ka hai muwassif koi 'taqi'-mir ka muarrif batao ai dostan-e-munsif kai hamara bhi qadr-dan hai sune hai main ne fughan-e-bulbul bahaar mein hai mujhe tammul chatak raha hai jo ghuncha-e-gul sada-e-naqqara-e-khizan hai kiya hai kyun 'bahr' se kinara teri judai ne mujh ko mara are but-e-sang-dil khuda-ra bula le mujh ko bhi to jahan hai