gaya ki sail-e-rawan ka bahaw aisa tha wo ek khwab jo kaghaz ki naw aisa tha kisi ko bhi na tha aasan sans ka lena meri zamin pe hawa ka dabaw aisa tha lahu ki dhaar salamat rahi na sans ka tar mujhe jo kat gaya wo kataw aisa tha wo timtimata to us ki ziya bhi kam padti kisi diye se lahu ka lagaw aisa tha wo ek tha jo mujhe chaar-su dikhai diya main jang haar gaya hun ki daw aisa tha mujhe to laj ke ujle libas mein wo badan gulab barf mein jaise chhupao aisa tha bane hain nag mere ban mein ped jitne the lagi hai aag saba ka subhaw aisa tha