ghaflat mein soya ab tilak phir howega hoshyar kab yari lagaya khalq sun pawega apna yar kab jhuti mohabbat bandh kar ghafil raha apne sun haif bulbul hun sanpda dam mein dekhega phir gulzar kab ye khwab-o-khur farzand-o-zan aur mal-o-zar zindan hua to chhut kar is qaid sun hasil kare didar kab hirs-o-hawa bughz-o-hasad kibr-o-mani bukhl o jahal is rah-zanan sun bach kar howega bar-khurdar kab is nafs-e-kafir-kesh ki khaslat tujhe malum nahin gar qatl kita nahin use tujh ko mile dildar kab bin pir pahuncha nahin kabhi kui sahil-e-maqsud ko mallah bin kashti kahin hoti hai dariya par kab bar-haq 'alimullah' kaha rab qaul yahdi-main-yasha jannat ke talib ko kaho aawe nazar didar kab