ghair ke ghar hain wo mehman baDi mushkil hai

ghair ke ghar hain wo mehman badi mushkil hai
jaan jaane ke hain saman badi mushkil hai

kahte hain aap hain jis baat ke talib hum se
hai wahi ghair ko arman badi mushkil hai

aur phir kis se kahun haal-e-pareshani-e-dil
tum to hote ho pareshan badi mushkil hai

be-mile kaam bhi chalta nahin milna bhi zarur
ghair se jaan na pahchan badi mushkil hai

us ne li jaan hazaron ki ye dam de de kar
hum pe marna nahin aasan badi mushkil hai

wo utha lete hain ye rakh rakh ke chhuri gardan par
kaam hota nahin aasan badi mushkil hai

raaz-e-dil us but-e-bad-khu se kahun ya na kahun
baat nazuk hai wo nadan badi mushkil hai

roz kahte ho ki tu kis ke liye hai betab
jaan kar bante ho anjaan badi mushkil hai

dosti sahal nahin us but-e-bad-khu se 'nasim'
zid na kar dekh meri jaan badi mushkil hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close