ghair ke ghar sahi wo aaya to gham hi mere liye wo laya to dushmanon ko muaf kar dala doston se fareb khaya to ped ke ghonslon ka kya hoga ghar use kat kar banaya to phir mere samne thi ek diwar ek diwar ko giraya to kis qadar zor se hui barish main ne kaghaz ka ghar banaya to kya karoge 'naim' sal-e-nau pesh-rau ki tarah hi aaya to