ghair ko munh laga ke dekh liya jhut sach aazma ke dekh liya un ke ghar 'dagh' ja ke dekh liya dil ke kahne mein aa ke dekh liya kitni farhat-faza thi bu-e-wafa us ne dil ko jala ke dekh liya kabhi ghash mein raha shab-e-wada kabhi gardan utha ke dekh liya jins-e-dil hai ye wo nahin sauda har jagah se manga ke dekh liya log kahte hain chup lagi hai tujhe haal-e-dil bhi suna ke dekh liya jao bhi kya karoge mehr-o-wafa bar-ha aazma ke dekh liya zakhm-e-dil mein nahin hai qatra-e-khun khub hum ne dikha ke dekh liya idhar aaina hai udhar dil hai jis ko chaha utha ke dekh liya un ko khalwat-sara mein be-parda saf maidan pa ke dekh liya us ne subh-e-shab-e-visal mujhe jate jate bhi aa ke dekh liya tum ko hai wasl-e-ghair se inkar aur jo hum ne aa ke dekh liya 'dagh' ne khub aashiqi ka maza jal ke dekha jala ke dekh liya