ghairat-e-ishq ka ye ek sahaara na gaya lakh majbur hue un ko pukara na gaya kya lahu roe to aaya hai bahaaron ka salam sirf khwabon se haqaeq ko sanwara na gaya marka ishq ka sar de ke bhi sar ho na saka kaun rahi tha jo is rah mein mara na gaya wo bhi waqt aata hai saqi bhi badal jate hain mai-kade par kabhi maston ka ijara na gaya shauq ki baat kab alfaz mein dhal sakti thi us pari ko kabhi shishe mein utara na gaya kabhi takra diye shishe kabhi chhalka diye jam raegan ek bhi saqi ka ishaara na gaya aaine jitne bhi dekhe wo mukaddar the 'surur' jauhar-e-sidq-o-safa phir bhi hamara na gaya