ghairon ko ata aur jafa mere liye hai khush hun ki mohabbat ki saza mere liye hai khush ho ke abhi taisha-e-farhad utha le ai ishq ye qudrat ki ata mere liye hai tum jo bhi karo malik-o-mukhtar ho sahab pabandi-e-paiman-e-wafa mere liye hai khul paega kab uqda-e-raaz-e-dil-e-bulbul rahne do use kaam mera mere liye hai jaenge kahan chhod ke ye zist ke saman ye bagh ye jannat ki hawa mere liye hai kuchh rabt nahin ghair ka un se gham-e-dauran ye barq ye tufan-e-bala mere liye hai kyun 'nur' jhukate kahin apna sar-e-aqdas dar tera jo sajde ko bana mere liye hai