gham-e-ashiqi se badh kar gham-e-zindagi nahin hai main tere karam ke qurban mujhe kuchh kami nahin hai mere jaan-o-dil ke malik mujhe be-niyaz-e-gham kar kisi aur dar pe hargiz ye jabin jhuki nahin hai mere shahr-e-jaan-o-dil mein wo ziya bikherte hain mera qalb hai mujalla yahan tirgi nahin hai ai amir-e-shahr-e-shadan mujhe apne pas rakhna tere dar se dur rah kar koi zindagi nahin hai wahi chaara-e-wafa hai jahan dil ho kar-farma jahan aql hukmran ho rah-e-ashiqi nahin hai ye hai raaz-e-ishq-o-ulfat na samajh sakega waiz jahan tirgi nahin hai wahan raushni nahin hai suni dukh-bhari kahani mujhe baryab kar ke mere dil mein ab tamanna koi dusri nahin hai