gham-e-dauran gham-e-jaanan gham-e-jaan hai ki nahin

gham-e-dauran gham-e-jaanan gham-e-jaan hai ki nahin
dil-sitan silsila-e-gham-zadagan hai ki nahin

har nafas bazm-e-gulistan mein ghazal-khwan tha kabhi
har nafas nala-kashan nauha-kunan hai ki nahin

har nazar naghma-sara anjuman-ara thi kabhi
har nazar hairati-e-rang-e-jahan hai ki nahin

har zaban par tha kabhi tazkira-e-daur-e-bahaar
har zaban shikwa-gar-e-jaur-e-khizan hai ki nahin

mai-chakan baada-nishan the lab-e-gul-rang kabhi
lab-e-gul-rang pe zakhmon ka guman hai ki nahin

surma-e-chashm-e-inayat ki hikayat chhodo
aaj har aankh mein aahon ka dhuan hai ki nahin

qafile jaane ghataon ke kahan utrenge
har kham-e-zulf ba-hasrat-nigaran hai ki nahin

dasht-e-wahshat se nahin kam ye jahan-e-gul-o-bu
surat-e-reg-e-rawan umr-e-rawan hai ki nahin

naghma-e-baad-e-bahaari jise tum kahte ho
jaras-e-qafila-e-gul ki fughan hai ki nahin

na to bulbul ki nawa hai na sada-e-taus
sehn-e-gulzar mein ab amn-o-aman hai ki nahin

mujh se kya puchhte ho kaun yahan tak pahuncha
surkhi-e-khar-e-bayaban se ayan hai ki nahin

zindagi kuchh bhi sahi phir bhi badi daulat hai
maut si shai bhi yahan jins-e-giran hai ki nahin

surat-e-lutf-o-karam ye ho to dil kyun na jale
aag patthar ke bhi sine mein nihan hai ki nahin

zulm chup-chap sahe jaoge aakhir kab tak
ai asiran-e-qafas munh mein zaban hai ki nahin

ye adab-gah-e-mohabbat hai jo chup hun 'tahir'
warna yan kaun sa andaz-e-bayan hai ki nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close