gham-e-dil hi gham-e-dauran gham-e-jaanana banta hai yahi gham sher banta hai yahi afsana banta hai isi se garmi-e-dar-o-rasan hai inqilabon mein bahaaron mein yahi zulf-o-qad-e-jaanana banta hai saron ke khum surahi gardanon ki jam zakhmon ke muhayya jab ye ho lete hain tab mai-khana banta hai bigadta kya hai parwane ka jal kar khak hone mein ki phir parwane hi ki khak se parwana banta hai nigah-e-kam se meri chaak-damani ko mat dekho hazaron hoshyaron mein koi diwana banta hai kharida ja nahin sakta hai saqi zarf rindon ka bahut shishe pighalte hain to ek paimana banta hai mere hi donon hath aate hain kaam un ke sanwarne mein dikhata hai koi aaina koi shana banta hai bada sarmaya hai sab kuchh luta dena mohabbat mein faqirana libas aate hain dil shahana banta hai