gham-e-dil ko zamane se chhupana bhi nahin aata hamein to thik se aansu bahana bhi nahin aata saja kar kis tarah rakkhi hain kamre mein teri yaaden agarche thik se hum ko sajaana bhi nahin aata rahunga kis tarah khwahish ki basti mein akela main karunga kya mujhe paisa kamana bhi nahin aata banenge kya shikari hum tumhaare samne jaanan lagana hum ko tere sa nishana bhi nahin aata sitam-gar aakhiri didar kar lo hum chale jaen yaqin apni wafaon ka dilana bhi nahin aata mohabbat ko bhala kaise samajh paogi tum nadan tumhein to thik se milna milana bhi nahin aata chalo ab tod dalo aakhiri rishta bhi hum se tum ye kah kar sath 'yusuf' ko nibhana bhi nahin aata