gham-e-dil rukh se ayan ho ye zaruri to nahin ishq ruswa-e-jahan ho ye zaruri to nahin lab pe har-waqt fughan ho ye zaruri to nahin ham-nawa dil ki zaban ho ye zaruri to nahin jaan-e-tanha pe guzar jaen hazaron sadme aankh se ashk rawan ho ye zaruri to nahin mil hi jaegi kahin dhundhne wale ko bahaar har gulistan mein khizan ho ye zaruri to nahin hum jise apni zaban se bhi na kahne paen wo mohabbat ka bayan ho ye zaruri to nahin un ki aankhon mein chhalak aae hain aansu jis se wo mere dil ka dhuan ho ye zaruri to nahin zabt bhi hota hai andaz-e-junun mein shamil aarzu shola-ba-jaan ho ye zaruri to nahin aarzuon ki bhi ek bhid hai shahr-e-dil mein hasraton ka hi nishan ho ye zaruri to nahin soch kar wadi-e-ulfat mein qadam rakh 'sahir' sirf dil hi ka ziyan ho ye zaruri to nahin