gham-e-dost ko aasaish-e-duniya se gharaz kya bimar-e-mohabbat ko masiha se gharaz kya sar-ta-ba-qadam banda-e-taslim-o-raza hun mujh aashiq-e-sadiq ko tamanna se gharaz kya kucha hai tera aur hai din-raat ka chakkar wahshi ko tere gulshan-o-sahra se gharaz kya wada na karo jalwa-e-didar dikhao imroz ke mushtaq ko farda se gharaz kya tum bagh mein jate ho to gul khilte hain kya kya phulon ko tumhaare rukh-e-zeba se gharaz kya aql itni kahan hai ki jo anjam ko soche duniya ke talabgar ko uqba se gharaz kya ahbab hain mai-khana hai pahlu mein hai mashuq ab hazrat-e-'shankar' ko tamanna se gharaz kya