gham-e-hayat ko apnao zindagi kar lo

gham-e-hayat ko apnao zindagi kar lo
ab aankhen khol do ek pal ko raushni kar lo

ghamon ke daur mein tum ko agar hai khush rahna
to muskurao zara dard mein kami kar lo

main is sahaare tamam umr kat sakta hun
nazar se chhu ke mere khat ko surmai kar lo

kise khabar hai ki baqi hai zindagi kab tak
ye mashwara hai ki ab mujh se dosti kar lo

ek ajnabi se sune main ne tazkire apne
ab is se achchha hai charcha gali gali kar lo

tum apni zat ko mahsus kar na paoge
tum apni zat se mujh ko agar nafi kar lo

bhatak rahe ho udasi ke dasht mein 'afaq'
tumhein ye kis ne kaha tha ki aashiqi kar lo


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close