gham-e-jaanan ki KHabar lati hai By Ghazal << usne aawara-mizaji ko nay... narawa hai kisi ki hamrah... >> gham-e-jaanan ki khabar lati hai koi aawaz agar aati hai jaane kis samt hawa ki zanjir khinch kar mujh ko liye jati hai kaisa aalam hai ki tanhai bhi dar-o-diwar se takraati hai na-gahan aai thi hum par bhi 'jamil' wo qayamat jo guzar jati hai Share on: