gham-e-ulfat ke manazir bhi hain pyare kitne ashk tapke to bane chand sitare kitne umr bhar tute hain bandh bandh ke sahaare kitne kaam aate rahe hamdard hamare kitne yahi jina hai to phir maut kise kahte hain ji rahe hain gham-o-andoh ke mare kitne yun to kahne ko bahaar aati rahi jati rahi koi puchhe ki chaman us ne sanware kitne inqalab aane ko duniya mein hai aa jaane do phir ubharne ko hain dube hue tare kitne main abhi kah dun to kaunain mein halchal pad jae hain meri chashm-e-tasawwur mein nazare kitne maut aur zist ke khaya kiye kya kya na fareb zindagi ke the ye dilchasp nazare kitne zarf darkar hai ai dost mohabbat ke liye kar liye dil hi ne khud jazb sharare kitne kash hota koi mahfil mein samajhne wala the latif un ki nigahon ke ishaare kitne ho mubarak tumhein sair-e-mah-o-anjum lekin is mein hain aah ghariban ke sharare kitne mo'tarif hum bhi hain 'muslim' ki ghazal-goi ke saf bandish hai mazamin hain pyare kitne