gham hi gham hai poshida har KHushi ke parde mein

gham hi gham hai poshida har khushi ke parde mein
maut hi nazar aai zindagi ke parde mein

muskura rahe hain wo mujh se pher kar nazren
kuchh nawazishen bhi hain be-rukhi ke parde mein

safha-e-adab us ke nam ko jagah dega
jo kahe badi baaten sadgi ke parde mein

mutmain raho yaro hum kabhi kisi se bhi
dushmani nahin karte dosti ke parde mein

baz aa gae 'sabir' tum sanam-parasti se
ye darogh-goi hai rasti ke parde mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close