gham ke be-nur mazaron ka gala ghonT aaya

gham ke be-nur mazaron ka gala ghont aaya
sare be-mehr sahaaron ka gala ghont aaya

qarya-e-hijr ke ek ghar ka wo viran aangan
wasl ke shokh nazaron ka gala ghont aaya

rah ke sang ko suli pe chadhaya pahle
aur phir panw ke kharon ka gala ghont aaya

roz suraj ki taraf se ye sawal aata hai
kya main un chand sitaron ka gala ghont aaya

zulmat-e-shab main wo basti ke nashinon ka junun
shahr ki sare manaron ka gala ghont aaya

hae ek phul masalne ko ye kanton ka hujum
ja ke gulshan mein bahaaron ka gala ghont aaya

dar-e-purkhaar pe latka ke sulagte phande
qatra-e-ab shararon ka gala ghont aaya

aaj phir zabt-e-rag-e-jaan se nikal kar 'nayab'
dard ke jalte dayaron ka gala ghont aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close