gham ke sunsan bayaban se nikalta hi nahin dil mera dard ke tufan se sambhalta hi nahin ishq ki aatish-e-khamosh hai kab se raushan magar ehsas ka shoala hai ki jalta hi nahin har taraf dhund hai ashkon ki farawani se dil-e-betab sarabon se bahalta hi nahin talkhiyan ahl-e-zamana se wo jheli hain na puchh dil mera fasl-e-bahaaran mein machalta hi nahin kab se haalat-e-zamana hain digar-gun lekin dil ka mausam kisi haalat mein badalta hi nahin kya kahun darpai-e-azar hai duniya 'shahin' aadmi qaid-e-zamana se nikalta hi nahin