gham ki jo lazzaten hain unhen jawedan bana dard-e-nihan ko chaara-e-dard-e-nihan bana ummid-o-yas jis mein na hon wo jahan bana yani nai zamin naya aasman bana aur aarzu-e-sair-e-chaman ko bahaar mein aur ai asir-e-kunj-e-qafas aashiyan bana mashq-e-wafa mein kya kahun ye gham-nasib dil kin mushkilon se khugar-e-zabt-e-fughan bana wahm-o-khayal par bhi tasallut hai barq ka wahm-o-khayal mein bhi na ab aashiyan bana takhrib hi mein jalwa-e-tamir tha nihan jis shakh par mita tha wahin aashiyan bana kah de zaban-e-haal se rudad-e-gham 'shifa' apni khamoshiyon hi ko apni zaban bana