gham ki tartib saliqe se laga sakta tha yani main roz tera hijr mana sakta tha sabr ne chikh gale se nahin aage bheji warna diwana bahut shor macha sakta tha ghairat-e-ishq ne patthar ka banaya mujh ko warna main khak wahan ud ke bhi ja sakta tha tangi-e-daman-e-sad-chaak tera kya rona main numaish mein faqat zakhm dikha sakta tha teri nafrat se agar thodi si fursat milti main mohabbat mein bahut nam kama sakta tha aap be-kar samajh kar jise chhod aae hain ek wahi shakhs meri jaan bacha sakta tha us ki masum tabiat ki haya ne roka warna main us ko bade khwab dikha sakta tha ye to us chehra-e-pur-nur ka jadu samjho warna darwesh kahan jal mein aa sakta tha yunhi zahmat se akele mujhe barbaad kiya zindagani main tera hath bata sakta tha tum hi 'tahsin' meri qadr nahin kar pae main to wo tha jo gaya waqt bhi la sakta tha