gham ko khud par sawar mat karna zakhm ko ishtihaar mat karna ek had mein raho to achchha hai had ki diwar par mat karna apni parwaz bhul jaoge ghair par inhisar mat karna sar uthana muhaal ho jae khud ko yun zer-e-bar mat karna waqt kab intizar karta hai waqt ka intizar mat karna baat karna to samne karna pith pichhe se war mat karna hausle se sahaarna gham ko dard ko be-waqar mat karna chahaton ke hisab mein 'anwar' ek pal bhi udhaar mat karna