gham le ke masarrat ka saman hum ne banaya ashkon se sitaron ka jahan hum ne banaya be-qadr bana rakkha tha aghyar ne jis ko is bar amanat ko giran hum ne banaya nazron mein to but-khane ka but-khana tha lekin dil de ke tumhein rashk-e-butan hum ne banaya khud to na rahe anjuman-e-naz ke qabil han tere liye dil ka makan hum ne banaya lo aag laga baithe hamare hi jigar mein mahfil mein jinhen shoala-bayan hum ne banaya guftar ka maidan tumhaara sahi lekin alfaz ko shayan-e-zaban hum ne banaya aadab nae hum ne diye rah-rawi ko thokar ko bhi ek sang-e-nishan hum ne banaya be-kaifi-e-mahfil mein bhi ye shokhi-e-masti dil tuta to ek ratl-e-giran hum ne banaya honton pe lagi muhr to nairang-e-nazar se ek marka-e-lafz-o-bayan hum ne banaya us ne hi bhara zahr se paimana hamara 'jauhar' wo jise pir-e-mughan hum ne banaya