gham nairang dikhata hai hasti ki jalwa-numai ka kitne zamanon ka hasil hai ek lamha tanhai ka tere nazuk lab hain goya mausam ka mauzu-e-sukhan gulshan gulshan shohra hai shadabi ka ranai ka apne gham ki fikr na ki is duniya ki gham-khwari mein barson hum ne dast-e-junun se kaam liya danai ka aalam ke har manzar ko kuchh rang nae mil jate hain kirnen subh ki le jati hain rup teri angdai ka sahil o tufan ke afsane rang-e-haqiqat kya denge dub ke ubhro to irfan ho dariya ki gahrai ka dil mein 'kausar' aae kitne daur taghayyur ke lekin naqsh-e-tamanna par jab dekho aalam hai barnai ka