gham tera jaan se bhi pyara hai be-kasi ka yahi sahaara hai phir teri multafit nigahon ne arz-e-gham par mujhe ubhaara hai kyon na mayus ho dil-e-mahzun bahr-e-gham ka kahin kinara hai un se is tarah shikwe karta hun jaise un par mera ijara hai kuchh khabar bhi hai dil ne kitni bar shab-e-gham mein tujhe pukara hai tane sahna pade tumhaare liye warna zillat kise gawara hai dil-e-'sahir' ka intikhab na puchh husn ne badh ke hath mara hai