ghamon ke andheron mein gharqab hun main amawas ka bikhra hua khwab hun main mere nam se hai zamane ko nafrat ki pyale mein hasti ke zahrab hun main jami hai umidon pe hirman ki kai ki sahra ka ek khushk talab hun main qalam-band hain jis mein ruhon ke qisse kitab-e-zamana ka wo bab hun main pada hai jo khai mein tarikiyon ki muradon ka wo nakhl-e-shadab hun main tujhe zist ki har khushi ho mayassar mera gham na kar shad-o-shadab hun main taaruf mera kya hai puchho na 'parkash' wafa nam hai aur nayab hun main