ghamon ki bhid dardon ki nigahbani mein rahna hai bata ai zindagi kab tak pareshani mein rahna hai shajar ka ye muqaddar tai karega baghban sun lo use sarsabz hona hai ki virani mein rahna hai main apna haq bhi mangun to gunahon mein wo shamil hai tumhaara zulm kab tak yun farawani mein rahna hai wafaon ka sila kis ko mila kab kaun jaane hai wafa ke zikr mein hum ko to sultani mein rahna hai wo apne qaul se wapas palat jae use haq hai 'tapish' hum ko to apni baat ke pani mein rahna hai