ghamon ki raat hai aur itni muKHtasar bhi nahin

ghamon ki raat hai aur itni mukhtasar bhi nahin
bahut dinon se tumhaari koi khabar bhi nahin

ai shahr-e-dil teri galiyon mein khak udti hai
ye kya hua ki yahan koi nauhagar bhi nahin

tu mere sath nahin hai to sochta hun main
ki ab to tujh se bichhadne ka koi dar bhi nahin

main apna dard kisi aur se kahun kaise
mere badan pe koi zakhm-e-mo'atabar bhi nahin

chalao tegh ki ab is mein sochna kya hai
mere harif mere hath mein sipar bhi nahin

hain teri fath mein ab bhi shikast ke imkan
meri shikast mein andesha-e-zafar bhi nahin

jo washgaf kare mere ramz ko 'shahid'
sukhan-waron mein koi aisa dida-war bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close