ghamon se rishta hai apna bhi dosti ki tarah mile hain ashk bhi hum ko yahan hansi ki tarah karam ki zahmat-e-be-ja ka shukriya lekin tumhaare dard ko chaha hai zindagi ki tarah main apna dard liye ab kahan kahan jaun mujhe rafiq bhi milte hain ajnabi ki tarah sharif log bhi hote hain maslahat ka shikar ujale aaj bhi milte hain tirgi ki tarah ye kis ne shamen jalai hain apni yaadon ki andhere ghar mein hai ye kaun raushni ki tarah kisi khayal mein akasr shagufta rahta hun koi khayal hai phulon ki tazgi ki tarah ye aur baat ki ab main 'rais'-e-mahfil hun gharib-e-shahr kabhi tha mein aap hi ki tarah