ghar ho ya bahar wahi kaDwi kasili guftugu

ghar ho ya bahar wahi kadwi kasili guftugu
kab talak sunte rahen hum ek jaisi guftugu

chand lamhon mein bhatak jae jo mauzuat se
be-sabab wo kyun kiya karta hai ilmi guftugu

us ke lahje mein to halki si nadamat bhi nahin
ek taraf hum bhul jaen pichhli sari guftugu

pal mein ratti pal mein masha pal mein rai ka pahad
pak chuke hain kan sun sun kar siyasi guftugu

ghar kya baitha hai dil mein aaj tak ek ek lafz
kya musibat ban gai do-chaar pal ki guftugu

ab koi apnae chahe mustarad kar de mujhe
main ghazal mein kar nahin paunga nangi guftugu

achchhe-khase log uth jate hain mahfil chhod kar
jab kabhi hoti hai kuchh logon mein adabi guftugu


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close