ghar jo lauTe to mile ghair ke samanon mein

ghar jo laute to mile ghair ke samanon mein
phul kuchh chhod ke aae the jo gul-danon mein

wo bhi hijrat ke takalluf se bari ho na sake
aae kuchh log jo kabe se sanam-khanon mein

un ke chehron ko nigahon se qata mat kijiye
jin ki pahchan rahi aaina-samanon mein

meri aamad pe har ek shakhs ko hairani hai
wo mujhe dhundne nikle the bayabanon mein

hum bhi taqsim hue aap bhi taqsim hue
donon munh dhanp ke rote hain garebanon mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close