ghar ko kaisa bhi tum saja rakhna kahin gham ka bhi dakhila rakhna gar kisi ko samajhna apna tum dhoka khane ka hausla rakhna itni qurbat kisi se mat rakkho kuchh zaruri hai fasla rakhna in ki har baat mithi hoti hai jhuti baaton ka mat gila rakhna zindagi ek bar milti hai us ko jine ka hausla rakhna na-umidi ko kufr kahte hain rab se ummid 'asifa' rakhna