ghar mein kaisa shafaqistan ka saman tha pahle mauj-e-sad-rang mein be-khwab jahan tha pahle kis khandar mein hamein mahbus hawa le aai shab ke sine mein bhi mahfuz makan tha pahle baadban kashtiyan phir mauj-e-hawa ki raunaq kaun kis haal mein aur kaun kahan tha pahle zina-e-sham pe rakkha hai charagh-e-khasta jis ki rag rag mein rawan zard dhuan tha pahle ab taraf ta-ba-taraf chhai hai bas gum-shudagi istiara hai alamat hai ayan tha pahle