ghar yar ka hum se dur pada gai hum se rahat ek taraf dil ek taraf aah ek taraf milne ki hasrat ek taraf hai maut ka rang mera jiwna jiyun dhundla charagh hun main sakraat ki zulmat ek taraf hasti ki tohmat ek taraf ji aa raha dida-e-tar mein mujhe dam lene ki tab nahin zoaf ek taraf dard ek taraf aur kahish-e-taqat ek taraf jun musht-e-sipand mere aaza jal dil ke angare se udte hain daghon ka mahshar ek taraf nalon ki qayamat ek taraf dil hat de yar ke kyunke liyun pher aah jahan ki malamat se ji lewe hai ghairat ek taraf mare hai murawwat ek taraf ghul hai pathraw hai ladkon ka ek aah ka lath hai hat mere hai sara aalam ek taraf diwana-e-'uzlat' ek taraf