gharibon ko faqat updesh ki ghutti pilate ho bade aaram se tum chain ki bansi bajate ho hai mushkil daur sukhi rotiyan bhi dur hain hum se maze se tum kabhi kaju kabhi kishmish chabaate ho nazar aati nahin muflis ki aankhon mein to khush-haali kahan tum raat-din jhuthe unhen sapne dikhate ho andhera kar ke baithe ho hamari zindagani mein magar apni hatheli par naya suraj ugate ho wywastha kashtkari kyun na ho kirdar aisa hai ye janta jaanti hai sab kahan tum sar jhukate ho