ghaur se tu dil ke andar dekh le

ghaur se tu dil ke andar dekh le
ek qatre mein samundar dekh le

laut kar kya jaane phir kab aaega
ek nazar is ghar ko ji bhar dekh le

koi rakhwala hai tere sath sath
ab na khaega tujhe dar dekh le

us ka zimma hai ki hoga kaamyab
phal bina hi kaam kar ke dekh le

wahima insan ka hai wajh-e-fasad
koi masjid koi mandar dekh le

wo jo milne ko hai mujh se be-qarar
aastin mein us ki khanjar dekh le

ghar tera hai kis jagah main kya kahun
khud hun ek arse se be-ghar dekh le


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close