ghazab hai dekhne mein achchhi surat aa hi jati hai nahin roke se dil rukta tabiat aa hi jati hai bhara hai dil hamara doston ki bewafai se kahan tak zabt baaton mein shikayat aa hi jati hai padega tere ji mein shak na sun ghammaz ki baaten hazar aaina ho dil par kudurat aa hi jati hai ye kya malum tha ye ishq saudai banega kahin talti hai aane wali aafat aa hi jati hai tilai rang par kyun kar na un logon ko gharra ho ye zar wo chehra hai khatir mein nakhwat aa hi jati hai junun-e-ishq mein har chand kuchh ghairat nahin lekin jo koi tan karta hai hamiyat aa hi jati hai ajab rudad hai apni bayan karte hain hum jis se nikal aate hain aansu us ko riqqat aa hi jati hai nikal jae na kyun kar shahr se majnun bayaban ko bashar ko apni uryani se ghairat aa hi jati hai hansi achchhi nahin dekho tamiz is mein nahin rahti ki munh lag chalne mein bose ki naubat aa hi jati hai lachakte hi kamar zulf-e-rasa ki jhonk lene se asar mashuq-pan ka hai nazakat aa hi jati hai bahut apne ko shaista wo ghairon mein banate hain tabiat mein jo garmi hai shararat aa hi jati hai kahan tak nek sohbat ka asar hoga na insan ko mile tanba jo sone se to rangat aa hi jati hai khuda surat na dikhlae mujhe aatish-izaron ki hazar un se hai dil thanda hararat aa hi jati hai dua-e-maghfirat jab mangte hain us se ro ro kar barabar josh mein khaliq ki rahmat aa hi jati hai koi mahbub us ki jaan ka sail jo hota hai jhuka leta hai 'bahr' aankhen murawwat aa hi jati hai