ghazab ki kaT thi ab ke hawa ke tanon mein

ghazab ki kat thi ab ke hawa ke tanon mein
shigaf pad gae hain be-zaban chatanon mein

hamare hont hi patthar ke hain wagarna miyan
hum ek aag liye phirte hain dahanon mein

bagula ban ke utha to main tha kharabe se
bapa hua na koi hashr aasmanon mein

siyah shahr ki qismat mein mera faiz kahan
charagh-e-nazr hun jalta hun aastanon mein

tapak pada hun bil-akhir main apni aankhon se
chhupa rakha tha mujhe tum ne kin khazanon mein

sukut ko na kabhi kar sada se aaluda
ki ye zaban hai muqaddas-tarin zabanon mein

sukhan-shanas fasilon ka hai sukut ghazab
sukhan-taraaz hain zanjiren qaid-khanon mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close