ghazal jab taza kahta hun purani bhul jata hun fasana likhne baithun to kahani bhul jata hun meri raftar duniya se bahut hi tez hoti hai ragon mein khun ki aksar rawani bhul jata hun mere hathon mein jab bhi wo hinai hath rakhti hai main baaten sab zamini aur zamani bhul jata hun main nur-e-agahi ke qurmuzi-dhaaron mein rahta hun andheri shab ke mathe ki nishani bhul jata hun main sahil par khada hun ye samundar muztarib kyon hai main in sochon mein gum sipi uthani bhul jata hun kisi budhe shajar par jab 'wali' meri nazar jae budhape ke tasawwur mein jawani bhul jata hun