ghazal ka meri khaka dekhta hai jo us gul ka sarapa dekhta hai palat kar jab masiha dekhta hai mere zakhmon ko hansta dekhta hai tilismi hain nae insan ki aankhen ki ghar mein rah ke duniya dekhta hai wahi kirdar zinda hai jo apni kahani ko adhura dekhta hai ye sun kar meri ninden ud gai hain koi mera bhi sapna dekhta hai jo udte hain uden 'ghaalib' ke purze tamashai tamasha dekhta hai samundar bund lagta hai kisi ko koi zarre mein sahra dekhta hai na jaane kis mein hai kitni basirat na jaane kaun kitna dekhta hai