ghazal mein dard ka jadu mujhi ko hona tha ki dasht-e-ishq mein bahu mujhi ko hona tha use to chand bhi bechaargi mein chhod gaya andheri raat ka jugnu mujhi ko hona tha zara si baat pe ye jog kaun leta hai tumhaare pyar mein sadhu mujhi ko hona tha badan ke aur hawale to sab salamat the magar kata hua bazu mujhi ko hona tha kisi ka karb meri zat se umadta hai kisi ki aankh ka aansu mujhi ko hona tha main ism rakhta hun yari mein gham-gusari mein har ek zakhm ka daru mujhi ko hona tha gharon ko chhod ke sab hoshiyar kahlaen watan ki mitti ka madho mujhi ko hona tha ye apni apni tabiat ki baat hai 'saqib' use jo phul to khushbu mujhi ko hona tha