ghazal tum ko sunane ke bahane dhund leta hun main yun hi muskurane ke bahane dhund leta hun main kafir hun khuda ke dar kabhi sajda nahin karta magar main sar jhukane ke bahane dhund leta hun koi bhi khel ho main ehtiyat itni baratta hun main pahle haar jaane ke bahane dhundh leta hun nahin dikhta hai mujh ko thik se ab dur ka kah kar tere nazdik aane ke bahane dhund leta hun main us ke dar pe ja kar mangta hun hath jab tera khuda ko aazmane ke bahane dhund leta hun teri mahfil mein aata hun pahan kar dhup ka chashma nazar tujh par tikane ke bahane dhund leta hun main la-jawab hun lekin hai aqida eid par mera gale tujh ko lagane ke bahane dhund leta hun hai maqsad ye ki logon ke kalejon ko mile thandak main apna dil jalane ke bahane dhund leta hun bahut zoron se hans padta hun main bin baat ke aksar main yun aansu bahane ke bahane dhund leta hun