ghazal wahi hai jo ho shakh-e-gul-nishan ki tarah asar ho jis mein jamal-e-pari-rukhan ki tarah samajh rahe the ki aasan hai ishq ki manzil hawas udne lage gard-e-karwan ki tarah agar hai dil mein kashish khud qarib aaenge abhi to dur hain wo mujh se aasman ki tarah masarraton ke khazine bhi us pe qurban hain aziz mujh ko tera gham hai apni jaan ki tarah suna hai jab se main khalwat-guzin hun kuchh ahbab meri talash mein hain marg-e-na-gahan ki tarah jahan jahan se guzarte hain ahl-e-ishq-o-wafa nuqush-e-rah chamakte hain kahkashan ki tarah sukhan-shanas na hon jis maqam par 'shaariq' wahan hain sher-o-ghazal jins-e-raegan ki tarah