ghir gaya hun be-tarah main khwahishon ke darmiyan jism ke reze udati aandhiyon ke darmiyan kitne chehre kitni shaklen phir bhi tanhai wahi kaun le aaya mujhe in aainon ke darmiyan hum kahan yaro kahan wo mauja-e-baad-e-nasim waqt ki pahnaiyan hail dilon ke darmiyan dil pe guzri jo wo guzri shahr kyun viran hue ek dahshat si hai phaili raston ke darmiyan muddaa pinhan pas-e-alfaz hai jo padh sako kuchh nahin paoge tum in surkhiyon ke darmiyan jaise khushbu shahr mein sahra mein jaise chandni yun bikhar jata hun mein tanhaiyon ke darmiyan jis ki khatir sher likhte ho kabhi padhti bhi hai kab talak uljhe rahoge qafiyon ke darmiyan 'sham'-ji bikhre kabhi is dil ke aangan mein mahak zindagi guzregi kab tak aahaton ke darmiyan