ghiste ghiste panw mein zanjir aadhi rah gai aadhi chhutne ki hui tadbir aadhi rah gai nim bismil ho ke main tadpa to wo kahne lage chuk tujh se ho gai tazir aadhi rah gai sham se thi aamad aamad nisf shab ko aae wo yawari kar ke meri taqdir aadhi rah gai nisf shahr us gesu-e-mushkin ne dil-basta kiya khusraw-e-tatar ki tauqir aadhi rah gai chaudhwin shab na-mubarak mah-e-kaamil ko hui nisf mansab ho gaya jagir aadhi rah gai tez kab tak hogi kab tak badh rakkhi jaegi ab to ai qatil teri shamshir aadhi rah gai aadhe dhad ka dam nikalta tha ki aaya khatt-e-shauq padhte padhte mar gae tahrir aadhi rah gai rang phirne bhi na paya tha ki khud-rafta hua ban ke 'mani' se teri taswir aadhi rah gai nisf shab tak di tasalli phir wo yusuf uth gaya khwab-e-hasrat ki meri tabir aadhi rah gai khud kaha qatil se main ne phir dobara zabh kar kat ke jab gardan dam-e-takbir aadhi rah gai dopahar raat aa chuki jab guftugu ki ishq ki yar se aadhi hui taqrir aadhi rah gai imtihan mein kundani rang un ka duna ho gaya udte udte surkhi-e-iksir aadhi rah gai ai pari-ru jald zindan mein 'sharaf' ki le khabar tukde kar ke phenk di zanjir aadhi rah gai