ghuncha ghuncha mausam-e-rang-e-ada mein qaid tha dil wo nadan tha ki apni hi ana mein qaid tha aankh ki momi gali pyasi thi pyasi hi rahi shabnami baadal zamane ki hawa mein qaid tha be-rukhi ki ghar ki diwaron pe thi chuna-kali zarra zarra ajnabiyyat ki faza mein qaid tha aasman ke taq par sajte rahe ek ek charagh main zamin ka chand apne hi khala mein qaid tha raat ke ifrit ne shab-khun mara be-tarah karwan-e-subh zanjir-e-dua mein qaid tha kaun tha wo jis ne apne khun se likkha tha khat kis ke dil ka rang is barg-e-hina mein qaid tha aankh ke aangan se khwabon ka parinda ud gaya raat bhar 'shahin' yaadon ki chita mein qaid tha