ghunche ko hai tere dahan ki hirs

ghunche ko hai tere dahan ki hirs
seb ko hai tere zaqan ki hirs

ye nazakat kahan ye lutf kahan
hai saman ko jo us badan ki hirs

teri raftar wo kahan pae
dekhi bas aahu-e-khutan ki hirs

gul se ai andalib kah dena
na kare mere gul-badan ki hirs

hai qafas mein bhi chain bulbul ko
hai tabii magar chaman ki hirs

'ajiz' aisi mili hai khush-goi
karte hain sab mere sukhan ki hirs


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close